MeraGana Karaoke Studio Microphone
Browse Karaoke Songs 
0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z    Show All
Search Karaoke Songs 
clear textClick here to clear text    Show All

ye raat bahot rangeen sahi ye raat bahot rangeen sahi iss raat mein ghum ka zehar bhi hai naghmon ki khanak mein doobi huyi fariyaadon puaa ki lehar bhi hai ye raat bahot rangeen sahi tum raqs karo main sher padhun matlab to hai kuchh khairaat mile iss kaum ke bachchon ki khaatir kuchh sikkon ki saugaat mile sikke to karodon dhal dhal kar taksaal se baahar aate hai kin waaron mein kho jaata hai kin pardon mein chhup jaate hai ye zulm nahin to phir kyaa hai pasie se to kaale dhandhe hon aur mulk ki waaris naslon ki taleem ki khatir chande hon ab kaam nahin chal sakne kaa reham aur khairaat ke naare se iss desh ke bachche anpad hai daulat ke galat batwaare se badle ye nijaam e zardaari badle ye nijaam e zardaari keh do ye siyaasatdaanon se ye maq alhal hone ka nahin kaagaz pe chhape elaanon se ye maq alhal hone ka nahin kaagaz pe chhape elaanon se ye raat bahot rangeen sahi iss raat mein ghum ka zehar bhi hai ye raat bahot rangeen sahi
ye wadiyaan ye fizaayein bulaa rahi hain tumhein ye wadiyaan ye fizaayein bulaa rahi hain tumhein khamoshiyon ki sadaayein bulaa rahi hain tumhein ye wadiyaan ye fizaayein bulaa rahi hain tumhein tumhaari zulfon se khushboo ki bheekh lene ko jhuki jhuki si ghataayein bulaa rahi hain tumhein khamoshiyon ki sadaayein bulaa rahi hain tumhein ye wadiyaan ye fizaayein bulaa rahi hain tumhein haseen champai pairon ko jab se dekha hai nadi ki mast adaayein bulaa rahi hain tumhein khamoshiyon ki sadaayein bulaa rahi hain tumhein ye wadiyaan ye fizaayein bulaa rahi hain tumhein mera kahaa na suno inki baat to sunlo har ek dil ki duaayein bulaa rahi hain tumhein khamoshiyon ki sadaayein bulaa rahi hain tumhein ye wadiyaan ye fizaayein bulaa rahi hain tumhein
jaansoz ki haalat ko jaansoz ki haalat ko jaansoz hi samjhega main shamma se kehta hoon mehfil se nahin kehta kyunke yeh ishq ishq hai ishq ishq yeh ishq ishq hai ishq sehar tak sabka hai anjaam jal kar khaakh ho jaana sehar tak sabka hai anjaam jal kar khaakh ho jaana bane mehfil mein koi shamma yaa parwaana ho jaaye kyunke yeh ishq ishq hai ishq ishq yeh ishq ishq hai ishq ishq yeh ishq ishq hai ishq aaaaa aaaaaaa aaaaaaaaaaaaa aaaaaaa aaaaaaa aaaaaaaaa aaaaa aaaaaa aaaaaaaaa hoooooo re naaaaa aaaaaaaaa aaaaaaaa aaaaaaaaa aaaaaaa vaishte dil vaisno daar se roki naa gayi kisi khanjar kisi talwaar se roki naa gayi ishq majnu ki wo aawaaz hai jiske aage koi laila kisi deewar se roki naa gayi kyunke wo hans ke agar maange to hum jaan bhi de den wo hans ke agar maange to hum jaan bhi de den haan ye jaan to kya cheez hai imaan bhi de den kyunke yeh ishq ishq hai ishq ishq yeh ishq ishq hai ishq ishq yeh ishq ishq hai ishq ishq naazon andaaz se kehte hain ke jeena hoga
aaaa haaaa haaa haaa tara ra rum tara rara rum aaaa haaaa tara ra rum tara rara rum yeh kaun aaya yeh kaun aaya ke mere dil ki duniyaa mein bahaar aayiiiii yeh kaun aaya ke mere dil ki duniyaa mein bahaar aayiiiii yeh kaun aaya achaanak ye mere haathon mein kiska haath aaya hai naa main jaanun naa dil jaane wo apna yaa parayaa hai yeh kaun aaya ke main apni hi dhadkan sun ke sharmaayiiiii yeh kaun aaya dulhan ban ke jawaani ki umenge gungunaati hain basa hai kaun aankhon mein ke aankhen muskuraati hain bikhar ke kiski baahon pe ye meri zulf lehraayiiiii ye kaun aaya yeh kaun aaya ke mere dil ki duniyaa mein bahaar aayiiiii yeh kaun aaya
yeh zulf agar khul ke bikhar jaaye to achha yeh zulf agar khul ke bikhar jaaye to achha iss raat ki taqdeer sanwar jaaye to achha jis tarha se thodi si tere saath kati hai haai jis tarha se thodi si tere saath kati hai baaki bhi ussi tarha guzar jaaye to achha baaki bhi ussi tarha guzar jaaye to achha duniyaa ki nigahon mein bhala kya hai bura kya duniyaa ki nigahon mein bhala kya hai bura kya yeh bojh agar dil se utar jaaye to achha yeh bojh agar dil se utar jaaye to achha waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai ilzaam kisi aur ke sar jaaye to achha yeh zulf agar khul ke bikhar jaaye to achha bikhar jaaye to achha bikhar jaaye to achha
yun hi dil ne chaaha tha rona rulaana teri yaad to ban gayi ik bahaana yun hi dil ne chaaha tha rona rulaana teri yaad to ban gayi ik bahaana humen bhi nahin ilm hum jiss pe roye wo beeti ruten hai ke aataa zamaana wo beeti ruten hai ke aataa zamaana teri yaad to ban gayi ik bahaana ghum e dil bhi hai aur ghum e zindagi bhi naa iska thikana naa uska thikana ghum e dil bhi hai aur ghum e zindagi bhi naa iska thikana naa uska thikana naa iska thikana naa uska thikana teri yaad to ban gayi ik bahaana koi kiss pe tadpe koi kiss pe roye idhar dil jalaa hai udhar aashiyaana idhar dil jalaa hai udhar aashiyaana teri yaad to ban gayi ik bahaana yun hi dil ne chaaha tha rona rulaana teri yaad to ban gayi ik bahaana
zindagi bhar nahin bhoolegi wo barsaat ki raat ek anjaan musaafir se mulaqaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi haai jis raat mere dil ne dhadkana seekha shokh jazbaat ne seene mein bhadkana seekha meri taqadeer se nikli wahi meri taqadeer se nikli wahi sadmaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi wo barsaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi dil ne jab pyaar ke rangeen fasaane chhede aankhon aankhon ne wafaaon ke taraane chhede sog mein doob gai aaj wo sog mein doob gai aaj wo naghmaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi roothnewali roothnewali meri baat se maayus na ho behke behke se khayalaat se maayus na ho khatm hogi na kabhi tere mere khatm hogi na kabhi tere mere saath ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi wo barsaat ki raat ek anjaan haseena se mulaaqaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi
hmm hmmm hmm hmm hmm hmmm hmm hmm hmm zindagi bhar nahin bhoolegi wo barsaat ki raat ek anjaan haseena se mulaqaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi haaye wo reshmi zulfon se barastaa paani haaye wo reshmi zulfon se barastaa paani phool se gaalon pe rukne ko tarastaa paani dil mein toofaan uthaate huye dil mein toofaan uthaate huye jazbaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi dar ke bijli se achanak wo lipatnaa uska aur phir sharm se bal khaa ke simatna uska kabhi dekhi naa suni aisi ho kabhi dekhi naa suni aisi tilismaat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi surkh aanchal ko dabaa kar jo nichoda usne surkh aanchal ko dabaa kar jo nichoda usne dil pe jaltaa hua ik teer sa chhoda uss ne aag paani mein lagaate huye aag paani mein lagaate huye haalat ki raat zindagi bhar nahin bhoolegi mere naghmon mein jo basti hai wo tasveer thi wo naujawaani ke haseen khawaab ki taabeer thi wo aasmaanon se utar aayi hooo aasmaanon se utar aayi thi jo raat ki raat zindagi bhar nahin
zindagi guzaarne ko saathi ek chahiye husn gar nahi sharaab hi sahi zindagi guzaarne ko saathi ek chahiye husn gar nahi sharaab hi sahi husn gar nahi sharaab hi sahi jabse wo gaye hain apni zindagi mein ek naya daur aa gaya hai jabse wo gaye hain apni zindagi mein ek naya daur aa gaya hai unse keh do apne dil mein unse bhi haseen koi aur aa gaya hai zar ke aage sar jhuka ke husn bewafa hua aaj koi humsafar nahi raha to kya hua mere humsafar janaab hi sahi mere humsafar janaab hi sahi zindagi guzaarne ko saathi ek chahiye husn gar nahi sharaab hi sahi husn gar nahi sharaab hi sahi ishq aur wafa ka sirf naam hai jahan me kaam kuchh bhi nahi hai ishq aur wafa ka sirf naam hai jahan me kaam kuchh bhi nahi hai dil ki chaahe kitni azmate ginaao dil ka daam kuchh bhi nahi hai aaj maine tay kiya hai har tilism todna ek naye raaste pe zindagi ko modna ab ye faisla kharab hi sahi ab ye faisla kharab hi sahi zindagi guzaarne ko saathi ek chahiye husn gar nahi sharaab hi sahi
zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal isse khona nahin kho ke rona nahin isse khona nahin kho ke rona nahin zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal tere girne mein bhi teri haar nahin ke tu aadmi hai avtaar nahin tere girne mein bhi teri haar nahin ke tu aadmi hai avtaar nahin jo ho des wo bhes bana pyaare chale jaise bhi kaam chala pyaare pyaare tu ghum naa kar zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal jahaan sach naa chale wahaan jhooth sahi jahaan haq naa mile wahaan loot sahi jahaan sach naa chale wahaan jhooth sahi jahaan haq naa mile wahaan loot sahi yahaan chor hai sab koi saadh nahin sukh dhundh le sukh apraadh nahin pyaare tu ghum naa kar zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal isse khona nahin kho ke rona nahin isse khona nahin kho ke rona nahin zindagi hasne gaane ke liye hai pal do pal zindagiiii
zindagi ittefaq hai zindagi ittefaq hai kal bhi ittefaq thi aaj bhi ittefaq hai zindagi ittefaq hai jaam pakad badha ke haath maan duwaa ghate na raat jaane wafaa teri kasam kehte hai dil ki baat hum gar koi mail ho sake aankhon ka khel ho sake apne ko khushnaseeb jo waqt ko meharbaan maan milten hai dil kabhi kabhi warna hai ajnabee sabhi mere humdum mere meharbaan har khushi ittefaq hai har khushi ittefaq hai kal bhi ittefaq thi aaj bhi ittefaq hai zindagi ittefaq hai husn hai aur shabaab hai zindagi kaamyaab hai bazm yunhi khili rahe apni nazar mili rahe rang yun hi ramaa rahe waqt yunhi thama rahe saaz ki lai pe jhoom le zulf ke fan ko choom le mere kiye se kuchh nahin tere kiye se kuchh nahin mere humdum mere meharbaan ye sabhi ittefaq hai ye sabhi ittefaq hai kal bhi ittefaq thi aaj bhi ittefaq hai zindagi ittefaq hai zindagi ittefaq hai koi to baat kijiye yaaron ka saath dijiye kabhi gairon pe bhi apnon ka gumaan hota hai kabhi apne bhi nazar aate hai
zindagi ke rang kayi re saathi re zindagi ke rang kayi re zindagi ke rang kayi re saathi re zindagi ke rang kayi re zindagi dilon ko kabhi jodti bhi hai zindagi dilon ko kabhi todti bhi hai zindagi dilon ko kabhi todti bhi hai zindagi ke rang kayi re saathi re zindagi ke rang kayi re zindagi ki raah mein khushi ke phool bhi zindagi ki raah mein ghumon ki dhool bhi zindagi ke raah mein ghumon ki dhool bhi zindagi ke rang kayi re saathi re zindagi ke rang kayi re zindagi kabhi yakin kabhi gumaan hai har kadam pe tera mera imtehaan hai har kadam pe tera mera imtehaan hai zindagi ke rang kayi re saathi re zindagi ke rang kayi re zindagi ke rang kayi re saathi re zindagi ke rang kayi re
aaaa aaaaaaaaaaaa aaaaa aaaaaaa aaaaaa aaaa aaaaaaaaaaaaa aaaaa aaaa aaaa aaaa zurm e ulfat pe humen log sazaa dete hai zurm e ulfat pe humen log sazaa dete hai kaise naadan hai sholon ko hawaa deten hain kaise naadan hai hum se deewane kahin darr ke wafaa karte hain hum se deewane kahin darr ke wafaa karte hain jaan jaaye ke rahe baat nibhaa dete hain jaan jaaye aap daulat ke tarazu mein dilon ko tole aap daulat ke tarazu mein dilon ko tole hum mohabbat se mohabbat kaa seela dete hain hum mohabbat se takhat kya cheez hai aur laal o zawaahar kya hai takhat kya cheez hai aur laal o zawaahar kya hai ishq waale to khudaayi bhi loota dete hain ishq waale humne dil de bhi diya ehde wafaa le bhi liyaa humne dil de bhi diya ehde wafaa le bhi liyaa aap ab shauk se de le jo sazaa dete hain zurm e ulfat pe humen log sazaa dete hai
    Songs Title Film/Album Song Number
Ye Raat Bahot Rangeen Shagoon (1964) 14212
Ye Wadiyaan Ye Aaj Aur Kal (1963) 21457
Yeh Ishq Ishq Hai Barsaat Ki Raat (1960) 12851
Yeh Kaun Aaya Baazi (1951) 21470
Yeh Zulf Agar Khul Ke Kaajal (1965) 13494
Yun Hi Dil Ne Chaaha Dil Hi To Hai (1963) 13101
Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi (Duet) Barsaat Ki Raat (1960) 36009
Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi (Male) Barsaat Ki Raat (1960) 12073
Zindagi Guzaarne Ko Ek Mahal Ho Sapno Ka (1975) 21499
Zindagi Hansne Gaane Zameer (1975) 14447
Zindagi Ittefaq Hai Aadmi Aur Insaan (1969) 21502
Zindagi Ke Rang Kayi Aadmi Aur Insaan (1969) 21505
Zurm E Ulfat Pe Humen Taj Mahal (1963) 14312